Recents in Beach

Ali mola ali dam dam Lyrics|Sultan ul qadria qawali|naat,manqabat,kalam

Ali Mola Ali Dam Dam Lyrics

Ali mola ali dam dam Lyrics|Sultan ul qadria qawali|naat,manqabat,kalam

Miyan biwi ke taluqaat mein woh gunah jisay hum gunah nahi  samajte
Miyan biwi ke taluqaat mein woh gunah jisay hum gunah nahi  samajte


Miyan biwi ke taluqaat mein kuch aisay aamaal hain jin ko hum Mamooli samajte hain. jo shariat mein sangeen jurm hain . kabhi Kabhar lagta hai ke yeh be hayai ki baatein hain yeh be hayai nahi Hai yeh Shariat ka ilm hai haan agar hum is terhan ki baatein apni Khwahish ke mutabiq karen to yeh be hayai hai. 

Khair hum wapas apne mauzo ki taraf atay hain pehla gunah jis ko Miyan biwi ke taluqaat mein mamooli samjha jata hai woh yeh hai Ke biwi ka apne shohar ko hambistari se inkaar karna apne shohar Ko apne nazdeek anay se inkaar karna. 

Nabi akrm saw jami saghir mein yeh rivayat hai, App saw ne Farmaya! ”jb shohar apni biwi ko bulaye ( hambistari ke liye ) to Aurat par wajib hai ke woh foran apne shohar ki baat maan le ”ma Siwaye sharai uzar ke, sharai uzar ki wajah se biwi inkaar kar sakti Hai. yani aisi koi sharai majaboori ( maslan haiz, mahvari waghera Ho to woh allag baat hai.

Lekin agar sharai uzar nahi hai to aap saw  farmatay hain ke! ”wo ( Aurat ) foran apne shohar ki baat maan le khuwa woh oont ka khur
( Oont ki woh set jis par baith kar sawari ki jati hai ) par hi betha Kyun nah bulaa raha ho. ” is muamlay ko khawateen jo biwiyan Hain jo apne shohar ko haq dena chahti hain woh is baat ko mad e Nazar rakhen ke jab is muamlay mein kotahi hoti hai to insaan Doosri jagah apni khwahisaat to poori karne jata hai aur yeh baat Bahar biwi bardasht nahi kar sakti is liye Shariat ny is muamlay ki Ahmiyat bayan ki hai

Dosari rivayat sahih bukhari ki hai, AAp saw ny farmaya! ”jb Shohar apni biwi ko hambistari ke liye bulaye aur biwi inkaar kar Day aur shohar apni biwi se narazgi ki haalat mein so jaye to jab Taq woh narazgi ki haalat mein sota rahay ga farishtay biwi par Laanat bhaijtay “rahen ge.

Dosra Gunha miyan biwi ke taluqaat mein jis ko mamooli samjha Jata hai jab ke Shariat mein is ka itna sakht gunah hai woh yeh hai Ke aurat ka baghair kisi sharai uzar ke shohar se Talaq ka mutalba Karna. sahih jama Saghir ki rivayat hai, Aap ny farmaya! ”bagair Uzar ke khula lainay waliyan aur apne shohar se chhutkara haasil Karne waliyan, ghar ujaarne waliyan yeh is ummat ki munafiq hain. Doosri rivayat mein farmaya! jis aurat nay baghair kisi sabab ke Apne khawand se Talaq talabb ki is par jahannum wajib aur yeh Jannat ki khusbhoo nahi “sonaghen  gi. 

Is liye meri pyari behno! yeh kehna ya yeh uzar paish karna ke Mera khawand mujhe pasand nahi hai ya is ki income bohat kam Hai mera guzara nahi hota is liye mujhe Talaq chahiye to yeh ko ye Sharai uzar nahi hai  miyan biwi ka ikathay ghusal karna is liye  Sangeen jurm aur gunah se bachna chahiye aur walidain ko chahiye Ke woh bhi choti choti baton par apni baityon ko ghar nah bitha Ken. Talaq shohar ka haq hai aur yeh kitni buri baat hai ke Talaq Beti demand kar rahi hai .

Teesra Gunah jo miyan biwi ke taluqaat mein aam tor par hota hai Aur is ko mamooli samjha jata hai woh yeh ke, haiz ki haalat mein Apni biwi se hambistari karna ya aisi jagah se ( pichlle hissay se ) Hambistari karna jo ke ghair fitri hai, aap saw nay farmaya! jame Tirmizi ki yeh rivayat hai, ”jis shakhs nay haiz wali aurat se  Hambistari ki ya aurat ke peechay jamaa kya ya nujoomi ke
Paas gaya aur is ki baat ki tasdeeq ki ( sach maana ) to is ney is Cheez ka inkaar kya jo Mohammad saw par nazil hui.

" Yani woh Shariat ka munkir hai is ney Shariat ka inkaar kya jis Ney yeh amal kya. is ke liye Shariat ney kafara ka hukum diya hai Aur yeh bohat sangeen jurm hai lekin is ko log samjh hi nahi pa Rahay aur is baat ko koi serious lainay ko hi tayyar nahi hai ke Nikah se pehlay is ke aadaab aur azdawaji zindagi ke mutaliq Seekha jaye.

Duniya Jahan mein har cheez ki training hoti hai woh hum log Barray fakhr se karte hain  janabat ( hum bistare ) ke baad sonay se Qabal wazu ya ghusal lekin jab baat Shariat seekhnay ki aati hai to Wahan kya hai jee ke hamein sharam aa rahi hai. duniya ki be hayai Mein sharam nahi aati lekin Shariat sikhte hue ya Shariat ki baat Karte hue hamein sharam aati hai 

Ali Mola Ali Dam Dam Lyrics
Ali mola ali dam dam Lyrics|Sultan ul qadria qawali|naat,manqabat,kalam

Shah e mardan sher e yazdan quwwat e parwardigar
Lafatail ya ali la saif ilaah zulfiqarAli ali maula ali ali maula
Ghaus qutub sab ali ali kardeHukm ali da chale asmaan utte
Sooraj chand taare ali ali karde
Ghuncha phul patte ali ali karde
Saare mahpare ali ali karde
Kismat wal howe mushkil hal howe
Jad gham maare ali ali kardeAsraar e khuda tasveer e nabi
Sakhiyan da sakhi waliyan da waliHath phad ke nabi ne aakhiya si
Man kunto maula nahi bhulna
Hor saari duniya bhul jaana
Ik haider maula nahi bhulna

Yahan wahan kabhi dekha idhar udhar dekha
Ali ali nazar aaya jidhar jidhar dekhaDono jahaan ke andar har jaa ali ali hai
Mera wali wo har dam maula ali ali haiBaazu pakad ke keha rasool arabi
Vich khume gadeer de ali ali
Mainu rabb di saunh rabb aap kehnda
Adab naal quran ch ali aliOh husn e karam oh shaan e karam
Oh jaan e nabi oh jaan e karam
Maula sab da momin da haram
Kaabe da haram maula di galiOh tutti kismat jor dewe
Rukh toofanan de mor dewe
Oh khaibar da dar tor dewe

Ohde naam di thaan thaan shama jali

Miyan biwi ke taluqaat mein woh gunah jisay hum gunah nahi  samajte
Miyan biwi ke taluqaat mein woh gunah jisay hum gunah nahi  samajte

Choutha Gunah Miyan biwi ke taluqaat mein jis ko mamooli Samgha jata hai woh yeh hai ke kisi ghair Mehram aurat ke sath Khalwat ( akailey ) mein mulaqaat karna aur kisi ghair Mehram Aurat se haath milana yeh bohat sakht gunah hai, nabi akrm saw ne Farmaya! jame tirmizi ki rivayat hai, 

"Jb bhi koi aadmi kisi ghair Mehram aurat ke sath tanhai mein Milta hai to woh do nahi hotay teesra un mein shetan hota hai ” aur Aap saw ne farmaya! “tum mein se kisi shakhs ke liye keel le kar Apne sir mein thonk lena ziyada behtar hai bajaye is ke ke woh kisi Ghair Mehram ko chovay ” 

( Jame Saghir ). .. . aur hamaray haan yeh almiya hai ke chouna to Aik mamooli baat hai yahan to poora haath mila liya jata hai. aik Baar aik khatoon jis ko Shariat ka ilm nahi tha woh madinah aap? Se baet lainay aayi aur Aap saw ke agay apna haath badhaya aap Saw ne foran apne haath peechay kar liye aur farmaya! 

”Mohammad saw kisi aurat ke haath ko chouna to dor kisi aurat ke Nangay haath ko dekhna bhi pasand nahi karta. aur aap saw ne Apna chehra mubarak phair liya. ”allh taala se dua hai ke Allah Hamein deen aur Shariat ko samajhney aur is par amal karne ki Tofeeq ataa farmayay Ameen



Post a Comment

0 Comments