Recents in Beach

Zameen-o-Aasman lyrics| Sahir Ali Bagga|Musalmaanon Ki Duniya Mein

Rohein gharon ko kab aur kyun lautade hain ?

hazrat Ali ki mehfhil mein log aksar sawalaat kiya karte they jo ke mukhtalif mozuaat ke hawalay se howa karte they kehte hain aik martaba hazrat Ali masjid mein baithy hue they Aap ki mehfhil mein bohat se log baithy hue they jin mein hazrat suleman farsi ne hazrat Ali se sawal kiya ke kya faut honay ke baad bhi walidain ki roohein gharon ko lotti hain to hazrat Ali ne farmaya:

 Ae suleman jab walidain faut ho jatay hain to un ki roohein apne bachon ke paas aati hain woh apni aulaad se faryaad karti hain aur apni aulaad se sawal karti hain ke woh sadqat aur naik aamaal ke zariye un par meharbani karen woh apne liye duaun ka sawal karti hain to is par hazrat suleman ne aitraaz kiya ke ae Ali maa baap ki roohein kyun lotti hain?

is par hazrat Ali ne farmaya jab walidain faut ho jatay hain to un ka apna aamaal nama band ho jata hai marnay ke baad woh apni aulaad aur rishte daaron ke mohtaaj ho jatay hain ke un ke naam par koi sadqa kare koi un ke liye naik amal kere taakay un ke darjaat buland ho saken aur un ki azmaish mein kami ho sakay. yahi wajah hai ke walidain ki roohein gharon mein lotti hain aur faryaad karti hain ke inhen bhi duaun mein yaad rakha jaye.

 un ke liye aamaal kiye jayen aur sadqa diya jaye phir suleman ney dobarah poocha yeh roohein kab kab gharon ko lotti hain to hazrat Ali ney farmaya yeh roohein haftay mein aik din gharon ko lotti hain aur woh din jumaraat ka din hai yani jummey ki raat ko yeh roohein apne gharon aati hain.
aur cheekh cheekh kar apnon ko pukarti hain lekin jo log zindah hain woh un ki aawaz nahi sun satke woh apne dunyawi kamon mein magan rehtay hain lehaza yeh roohein mayoos ho kar wapas lout jati hain siwaye un ke jin ki aulaad naik ho aur apne walidain ke liye aamaal Hadia ke aur un ke liye dua kare phir hazrat Ali ne farmaya

 Ae suleman yaad rakhna apne marhomeen ke liye dua karte rehna jab koi apne marhoom walidain ke liye dua karta hai to un ki roohein Allah taala se faryaad karti hain ke ae Allah jis terhan hamari aulaad ne hamein yaad rakha aur hum par ahsaan kiya hamein apni duaun mein yaad rakha to un par reham farma un ki dunyawi pareshaniyon ko khatam kar day aur un ke liye aasanyan peda kar day .

yeh tha hazrat Ali ka farmaan. jis se wazeh hota hai ke roohein har jumaraat ko apne gharon mein aati hain .
is ke ilawa kuch aur riwayaat se bhi roohon ka gharon mein aana saabit hota hai . 
Hazrat saad bin masad  se marwi hai ke hazrat suleman farsi aur abdullah bin suleman aik dosray se gilaay miley to kaha agar tum mujh se pehlay intqaal kar gaye to mujhe khabar dena wahan kya paish aaya poocha kya zindah murdy se bhi mil sakta hai? farmaya haan musalmanoon ki roohein to jannat mein hoti hain inhen ikhtiyar hota hai ke jahan chahain jayen .

isi terhan hazrat Umar ban amar ka farmaan hai ke duniya momin ka qaid khanah hai aur kafir ki jannat hai . jab musalman marta hai to is ki raah khol di jati hai jahan chahay jaye. rooh woh amar rabbi hai jis ke hukum ke matehat hamara wujood shuru hota hai. qurani talemaat ki roshni mein kaha ja sakta hai ke rooh ka madah noor hai.
Aur yeh noor tawanai ki aik qisam hai jis terhan malaika noor se peda hue isi terhan scienci tahaqeeq ke mutabiq rooh insaan ka woh hissa hai jis ka mout bhi kuch nahi bigaar sakti.
Rooh Allah ke faislay ka naam hai. is se ziyada jana nahi ja sakta. insaan ke paas jo kuch ilm hai woh bohat kam hai balkay diya hi nahi gaya jab ke rooh ko samajhney ke liye ziyada ilm chahiye jo makhlooq ki shaan ke Laiq nahi maa baap apni aulaad ke liye kkhuda ke fazl o karam ka zareya hain aur kkhuda ki Raza un ki Raza mein hai is liye kkhuda naay jahan apni ibadat ka hukum diya wahan walidain ke sath ahsaan karne ka bhi hukum diya. 

Zameen-o-Aasman lyrics
Song: Zameen o Aasman Mein Har Zabaan Se La Ilaah Nikla
Singer: Sahir Ali Bagga
Composer: Sahir Ali Bagga
Lyricist: Prof. Ahmed Rafiq Akhtar
Presentation: ISPR
Zameen-o-Aasman lyrics

Zameen O Aasmaan Mein
Har Zabaan Se ‘La Ilaah’ Nikla
Zameen O Aasmaan Mein
Har Zabaan Se ‘La Ilaah’ Nikla
Huzoor-E-Haq Se Pakistan
Ka Parcham Juda Nikla
Agarchay Qoum Darmanda,
Udaas Aur Paa-Shikasta Thi
Agarchay Qoum Darmanda,
Udaas Aur Paa-Shikasta Thi
Magar Phir Quaid-E-Azam
Sa Aali Rahnuma Nikla
Magar Phir Quaid-E-Azam
Sa Aali Rahnuma Nikla
Zameen O Aasmaan Mein
Har Zabaan Se ‘La Ilaah’ Nikla
Alam Lehra Gaey Duniya
Mein Is Mulk Moazzam Ke
Alam Lehra Gaey Duniya
Mein Is Mulk Moazzam Ke
Musalmaanon Ki Duniya
Mein Naya Ek Rahnuma Nikla
Musalmaanon Ki Duniya
Mein Naya Ek Rahnuma Nikla
Naey Andaaz Se Tayyaariyan
Karte Mujaahid Thay
Musalman Phir Kafan
Baandhe Huwe Haq Aazma Nikla
Musalman Phir Kafan
Baandhe Huwe Haq Aazma Nikla
Zameen O Aasmaan Mein
Har Zabaan Se ‘La Ilaah’ Nikla
Naarah-E-Takbir, Allah O Akbar!
Pakistan, Zindabad!

Rohein gharon ko kab aur kyun lautade hain ?

Allah taala ny walidain ka bohat bara daraja rakha hai. hazrat muhammad saw ny walidain ke haqooq wazeh kiye hain yahan taq bhi aata hai ke walidain ki Raza mein Allah ki Raza hai aur walidain ki narazgi mein Allah ki narazgi hai .
Allah taala ny quran pak mein hukum diya hai ke
walidain ke samnay uf taq na kaho. Allah taala ny walidain ki farmabardari par ajar rakha jabkay nafarmani par azaab

walidain mein walida ka darjah ouncha rakha. walidain ke sath husn sulooq ki taleem di gayi. aur marnay ke baad hamara mazhab yeh dars deta hai ke walidain ke liye esal e sawab karen. taakay un ki kami baishi ko Allah taala daur farma den. aur un ko bakhash den aur un ke darjaat buland farma den .
Allah taala se dua hai ke Allah taala hamein bhi walidain ki qader karne ki tofeq ataa farma den aur marnay ke baad un ko esal e sawab karne ki tofeq bakhsheenameen summa ameen

Post a Comment

0 Comments