Recents in Beach

Ghusal ka tarika in islam|ghusal ka sunnat tarika|ghusal k faraiz|ghusl janabat ka tariqa

Ghusal Ka Sunnat Tareeqa
Bismillah Al-Rahman Al-Rahim
Ghusalkatarika,inislam,ghusalkasunnattarika,ghusalkfaraiz,ghusljanabatkatariqa
Allah taala ka irshad pak hai : ”agr tum log janabat ki haalat mein hoto khoob paki haasil karo. ( Surah e maida) 
Aik doosri aayat mein hai ke be shak Allah paki akhtyar krne walon ko pasand karta hai. (surah tauba ) 
Hazrat abu huraira R.A farmatay hain ke rasool pak SAW naay irshad farmaya ke jab tum mein se koi shakhs biwi se humbistar ho to is par wajib hogaya
Khawa mani na niklay. ( Bukhari muslim)
Allah pak apne bande ko pak dekhna chahta is liye paki ke masail kw quran  mein bayan kya, agar pani ho to is se napaaki ko daur karo aur agar pani nah ho lekin istemaal karne ki qudrat nahi hai to tayammum  kar ke naapaki ko dour karo,napaaki do terhan ki hoti hai.
( 1 ) chuti naapaki  yani be wazu hona, isi napaaki ko daur karne ke liye shariyat naay sunnat ke mutabiq wazu karne ko masroh qarar diya .
(2 ) bari napaki jesy janabat kehte hain, yeh baaligh aadmi par ehtelam ho jane ki wajah se kya biwi se hambistari karne ki waja se miyan biwi dono par taari hoti hai as trha aurat par ayam makhsoosa ke zamane mein aur bacha jannay ke baad chand hafto taq yahi naapaki taari rehti hai.
yeh charon soorten bari naapaki kehlati hain .
Ghusal Ka Tareeqa
un se pak honay ka tareeqa jo  ahadees  mein bataya gaya isi terhan se apne aap ko pak karne ki koshish ki jaye, isi paki 
shariyat naay ghusal se tabeer kya hai.
Ghusal k teen faraiz :
(1 )kuli karna (2 ) naak mein pani daalna(3 )tamam badan par pani bahana .
un faraiz mein se agar aik bhi farz reh gaya to ghusal durust nah hoga aur aadmi napak hi rahy ga,is haalat mein na namaz hogi aur nah hi talawat quran, badn ka aik baal bhi khusk reh gaya to ghusal nahi hoga aur aur aadmi badastoor napak rahay ga,
Naak aur kaan ke sorakhon mein pani ka pahunchna bhi zurori hai, angothi challa agr tang ho to is ko hila kar is ke neechay pani pahunchna bhi lazim hai wrna ghusal nah hoga .
Ghusal Ki Sunnatain 
( 1 ) dono haath ghutno tak dhona
(2 ) istanja karna aur jis jagah badan par najasat lagi ho esy dhona 
(3 ) napaaki daur karne ki niyat karna
(4 ) pehlay wazu kar lena
(5 ) tamam badan par teen baar pani bahana 


Ghusal Janabat Ka Tareeqa
Ghusalkatarika,inislam,ghusalkasunnattarika,ghusalkfaraiz,ghusljanabatkatariqa


Bismillah Al-Rahman Al-Rahim

Ghusal janabat karne wala sab se pehly ghusal karne ka irada yani niyat kare ga
ummul momineen Maimuna r.a bayan karti hain ke rasool Allah saw ne ghusal ka iradah farmaya to sab se pehlay dono haath dhuain par sharmgah ko dhoya phir baayaan haath jis se sharmgah 
ko dhoya tha phir zameen par ragara phir kulli ki aur naak mein pani dala phir chehra dhoya phir kohnio tak haath dhoye phir sir par
pani dala aur balon ki jaroon taq pani pohanchaya. teen baar sir par pani dala phir tamam badan par pani dala par jahan aap ney ghusal kya tha is jagah se hatt kar paon dhuain .


(بخاری، الغسل باب تفريق الغسل والوضو ۲۹۵ و مسلم الحیض باب صفة غسل الجنابة 317)
Hafiz Ibn hajar farmatay hain kisi hadees mein ( ghusal janabat ka wazu karte waqt ) sir ke masah ka zikar nahi hai
 (فتح الباری شرح صحيح البخاری)
Abdullah bin umar r.a rasool saw k ghusal janabat mein wazu ka zikar karty howe farmaty hain
ke aap ne sar ka masah nahi kya balkay is par pani dala. imam nasai ne is hadees par yeh baab baandha hai' janabat ke wazu mein sir ke masah ko tark karna
(205/1-/نسائی، الغسل باب ترك مسح الرأس في الوضوء من الجنابة حدیث 420)


Post a Comment

0 Comments