Recents in Beach

Khilafat Aisi Hoti Thi
Umar bin abdul aziz   rahman allah " ke paas zakat ka maal aata hai
Farmanay lagey : ghareebon mein taqseem kardo btlaya gaya islami Saltanat mein koi bhi faqeer nahi raha ( Allah akbar )
Farmaya : islami lashkar tayyar karo btlaya gaya islami lashkar Saari duniya mein ghoom rahay hain
Farmaya : nojawanon ki shadian kar do btlaya gaya ke shadi ke khwahish mandoon ki shadion ke baad bhi maal bach gaya
Farmaya : agar kisi ke zimma karzzzz hai to ada kar do, karzzzz Ada karne ke baad bhi maal bach jata hai
Farmaya : dekho ( yahodi aur esaion ) mein se kisi par karzzzz hai To ada kardo
Yeh kaam bhi kar diya gaya maal phir bhi kya bach jata hai
Farmaya : ahle ilm ko maal diya jaye, un ko diya gaya maal par bhi bach jata hai
Farmaya : is ki gandum khareed kar pahoron ke oopar daal do ke muslim saltanat mein koi parindah kabhi bhooka nah rahay

Rasool Allah Saw Ne Farmaya
Qayamat ke din poori kaeenat ke samny 1 shakhs ko bulaya jaye ga
Is ke samnay ninanwe register is ki buraiyon ke rakh diye jayen ge
Har register itna lamba chaura phela hoga jitni nazar kaam karti hai Allah taala ki taraf se sawal hoga un buraiyon mein se kisi aik
Buraiee ka bhi inkaar karsaktha hai? mere nigran firshton ne kahin
Tujh pr zulm to nahi kya woh jawab dy ga ae mere rab aisa nahi  Hai 
Phir sawal ho ga koi izr ho to paish kard ya koi neki ho to samnay Lao! !
Bandah drtay drtay jawab day ga ya rab koi uzar bhi nah aur koi Neki bhi nahi. .. .. . .
Allah taala farmaen gy teri aik neki hamaray paas mehfooz hai Yaad rakh aaj tujh par zulm nahi kya jaye ga
Chunancha aik kagaz ka tukra nikala jaye ga is mein likha hoga
أَØ´ْÙ‡َدُ أَÙ†ْ Ù„َا إِÙ„َÙ‡َ إِÙ„َّا اللَّÙ‡ُ ÙˆَأَØ´ْÙ‡َدُ أَÙ†َّ Ù…ُØ­َÙ…َّدًا عَبْدُÙ‡ُ ÙˆَرَسُولُÙ‡ُ
Bandah arz kere ga. ya Allah ! un barray barray gunaaho ke ambaar Ke samnay is tukre ki kya hesiyat hai. jawab miley ga aaj tujh pr Zulmm nahi hoga .
Chunancha gunaaho ke do barray barray register traazo ke aik plrhe Mein rakh diye jayen ge aur kaghaz ka tukda dosray plrhe mein Rakh kar wazn kya jaye ga to woh kalme wala palra bhari ho jaye Ga 



Post a Comment

0 Comments