Recents in Beach

Mohabbat Kay Sajday Naat Lyrics |Heart touching|Islamic Stories

Mohabbat Kay Sajday Naat Lyrics 

Aik nojawan jo Allah ki raah mein shaheed hua magr qabar ne Usay  qubool karne se inkar diya aur bahar phenk dia 
Mufti tariq masood ne Apne bayan me kaha Baaz auqaat mein Dekhnay mein aayahe Aur meine bhi dikhahe Hai k shohada ka jisam Kharab nahi hota kayi Kayi mahinay bad qabar khod kar nikala gaya to Dekha gaya k jism aesi terhan prha hai yeh Allah taala ki taraf se Karamat hoti hai lekin mout ke bad jism kharab hona aik fitri amal Hai chahay koi tabee mout mara ho ya iski shahadat hui ho jism ke Galnay ka hargiz yeh matlab nahi k is bande ke aamaal theek nahi They. 
Mein ne aisay bhi shohada dekhe hain ke aik shaheed bohat Naik Tha  lekin shahadat ke bad is ke jism se  boo ane lagi aur aik Shaheed kam naik tha lekin is ki mayyat mehfooz rahi. Allah taala Dekhate  hain ke khusbo aur jism ke mehfooz honay ka taaluq Karamat se hota hai Allah taala jab chahtahe karamat ko zahir kar Dete hai.
Mufti tariq masood naay kaha kay mein aik dafaa aik aalam se Poocha kay aik  shaheed jo kam darjay ka nek tha iski shahadat k Bad is ke jism se khusbo ane lagi aur aik shaheed jo bohat naik Thaas ki shahadat ke bad is ke jism se badbu lagi to yeh kia baat Hai to in aalam naay aik bohat khobsorat baat ki aur kaha kay jis ke Jism se badbu a rahi hai is ko Allah taala naay kaamil darjay ki Shahadat di hai is ka jisam bhi apni raah mein qubool karliya.


Mohabbat Kay Sajday Naat Lyrics
MohabbatKaySajday,NaatLyrics,Hearttouching,IslamicStories
Mohabbat Kay Sajday Naat Lyrics

Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah

Wo dhoopon me tapti zameenon pe sajde
Safar me wo ghodon ki zeenon pe sajde

Chattanon ki unchi jabeenon pe sajde
Wo sehra bayaban ke seenon pe sajde

Halalat pe sajde museebat me sajde
Wo faqon me hajat me ghurbat me sajde

Wo jangon jadal me harasat me sajde
Laga teer zakhmon ki halat me sajde

Wo gharon ki wahshat me purnoor sajde
Wo khanjar ke saye me masroor sajde

Wo raton ko khalwat se maamoor sajde
Wo lambi rakaton se mashoor sajde

Wo sajde muhafiz madadgar sajde
Ghamon ke moqabil ‘atardar sajde

Najaat aur bakhshish ke salar sajde
Jhuka sar to bante the talwar sajde

Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain

Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah

Hamare bujhe dil se bezar sajde
Khayalon me uljhe huye char sajde

Musallen hain resham ke beemar sajde
Chamakti deewaron me laachar sajde

Riyakar sajde nadar sajde
Benoor bezauq murdar sajde

Saron ke sitam se hain sangsar sajde
Dilon ki nahoosat se masmar sajde

Hai mafroor sajde hain maghroor sajde
Hai kamzor be jaan m’azoor sajde

Gunahon ki chakki me hai choor sajde
Ghaseete ghulamon se majboor sajde

Ke sajdon me sar hai bhatakte hain sajde
Sarasar saron par latakte hain sajde

Nigahen khuzu me khatakte hain sajde
Du’aon se daman jhatakte hain sajde

Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen puchhti hai namazi kahan hain

Allah Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah Allah

Chalo aao karte hain tauba ke sajde
Bahut tishnagi se tawajjo ke sajde

Maseeha ke aage madawa ke sajde
Nidamat se sarkham shikasta se sajde

Raza wale sajde wafa wale sajde
Amal ki taraf rahnuma wale sajde

Sarapa adab iltija wale sajde
Bahut ‘ajizi se haya wale sajde

Nigahon ke darban rudar sajde
Wo chehre ki zohra chamakdar sajde

Sarasar badal de jo kirdar sajde
Ke ban jayen jeene ke atwar sajde

Khuzu ki quba me yaqeen wale sajde
Lahad ke makeen hamnasheen wale sajde

Hon Sh’afi ya Mehshar jabeen wale sajde
Hon Sh’afi ya Mehshar jabeen wale sajde

Wo sajdon ke shauqeen ghazi kahan hain
Zameen poochhti hai namazi kahan hain

Allah Allah Allah Allah Allah

Allah Allah Allah Allah Allah


 woh qayamat mein kahe ga k ae Allah mere jism ko keero nay khaya. mufti tariq masood ne kaha kay aalam ka yeh kehna tha keh mujhe ahadees mein mojod aik waqia yaad aya, Abdullah Ibn mubarak naay aik waqia zikar kiya hai ke tabayeen ki aik jamaat jahad me gayi Allah ki raah mein lartay hue aik nojawan shaheed ho gaya jab is ko dafan karne ke liye qabar me rakhtay to qabar utha kar bahar phenk deti.
 zahiran to yeh aik bohat buri alamat hai baaz aisay waqiayat hue hain jis mein qabar murday ka qabool nahi karti aur bahir phenk deti hai. woh log pareshan hogaye aur iss ki walida se ja kar pucha kay is naay aesa konsa aamal kiya kay tha jis ki wajah se qabar is ko qabool nahi kar rahi. is nojawan ki walida naay kaha kay mera beta jane se pehlay dua kar kay gaya tha kay ae Allah mujhe teri raah mein aisi shahadat chahiye ke qabar mujhe qubool nah kere mein jungle mein oara hun aur darindy mujhe noch kar kha jayen aur qayamat ke din mera hashar darndo kay pait se ho .

Post a Comment

0 Comments