Recents in Beach

Alwida Alwida Mahe Ramzan|Owais Raza Qadri |Naat lyrics

Alwida Alwida Mahe Ramzan Naat Lyrics
Alwida Alwida Mahe Ramzan,Owais Raza Qadri, Naat lyrics
Sakhal khajoor nabi kareem saw ka aik moujza … !
Sakhal khajoor nabi kareem saw ka aik moujza … !

Aik baar aik shareer yahoodi naay mehez shararat mein nabi kareem saw ki khidmat mein khajoor ki aik ghuthli paish ki aur ye shart rakhtay howe kaha ke agar aap aaj is ghuthli ko matti aur pani ke neechay daba den aur kal yeh aisa tanawar khajoor ka darakht ban kar zameen par lhlhane lagey jis mein phal yani khojorin bhi peda ho jaien to mein apkee talemaat par imaan liye aon ga  goya musalman ho jaoon ga .

Nabi kareem saw ne is ki yeh shart tasleem karli aur aik jagah jaakar aap Sallallahu alaihi wasallam ne is ghuthli ko matti ke neechay daba diya aur is par pani dala aur Allah Subhana o taala se dua bhi ki aur wahan se wapas tashreef liye aaye is yahoodi ko dunyawi usoolon ki kasoti par yaqeen kaamil tha ke aik din mein kisi terhan bhi khajoor ka darakht tayyar nahi ho sakta tha lekin rasool mukaram Sallallahu alaihi wasallam ki zaat aqdas ki rohaniyat aur aapka aetmaad uskay dil mein khatak aur khadsha zaroor peda kar raha tha ke kahin kal aisa ho hi nah jaye ke khajoor ka darakht agg jaye aur usay imaan lana par jaye 

Is naay apne is was wasay ko daur karne ke liye phir dunyawi usoolon ki madad li aur shaam ko is maqam par ja kar jahan khajoor ki ghuthli aaqa do jahan Sallallahu alaihi wasallam naay boi thi usko wahan se nikal liya aur khush khush wapas aa gaya
ke ab khajoor ka niklana to dur kinar, khajoor ke darakht ka niklana hi mahaal hai  Lekin woh nahi jaanta tha ke jab maamla Allah Subhana o taala aur uskay rasool Sallallahu alaihi wasallam ke darmain ho to dunyawi asbaab be maienay ho jatay hain 

Aglay din aaqa do jahan Sallallahu alaihi wasallam aur woh yahoodi maqam muqarara par puhanche to woh yahodi yeh dekh kar heran reh gaya ke wahan aik tanawar darakht khajoor ke gajaho se lada khara hai  is yahodi naay jab uski khajoor ko khaya to asmin ghuthli nahi thi to uskay mun se be ikhtiyar nikla : - is ki ghuthli kahan hai ?

Marqoom hai ke is mauqa par rasool Sallallahu alaihi wasallam naay irshad farmaya ke ” ghuthli to tum naay kal shaam hi nikaal li thi isliye ghuthli to khajoor mein nahi hai Albata tumhari khwahish ke mutabiq khajoor ka darakht aur khajoor mojood hai  kaha jata hai ke woh yahoodi Allah Subhana taala ke azan se rasool allah rasool Sallallahu alaihi wasallam ke is moajezae ko dekh kar musalman hogaya .

Alwida Alwida Mahe Ramzan,Owais Raza Qadri, Naat lyrics

Alwida Alwida Mahe Ramzan Naat Lyrics

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,

Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, 
Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

Sakhal khajoor nabi kareem saw ka aik moujza … !

Is waqea ke baad se aaj taq baghair ghuthli wali majzati khajoor madinah Munawwara mein khoob ugti hai  dukanon par farokht bhi hoti hai – is khajoor ka asal naam ” shakal ” hai  usay ”sakhal” bhi kehte hain aur agar aapko naam yaad nah bhi rahay to aap usay ” be dana khajoor ” ke kar bhi talabb kar satke hain ab bohat ziyada ilm rakhnay walay bilkhasoos ” nabatiaat ” ( botany ) ke mahireen yeh bhi poucheen ge ke jab ” shakal khajoor ” mein ghuthli nahi to uski mazeed kaasht chodan so saloon se kaisay ho rahi hai to bitanay walon ne bataya hai ke is ke sokhey pattay khajoor ke baghoon mein matti mein madgham hokar nie poudoun ki bunyaad ban jatay hain  allah aalm

Post a Comment

0 Comments