Recents in Beach

Mein lajpalan day lar lagiyan lyrics|sufiana kalam|Lakhwinder Wadali

Mein lajpalan Day Lar Lagiyan Lyrics
Mein lajpalan day lar lagiyan lyrics|sufiana kalam|Lakhwinder Wadali
Prophet Muhammad Saw Story In Urdu
Prophet Muhammad Saw Story In Urdu

Hamaray pyare nabi sallallahu alaihi wasallam mehmanon ka bohat khayaal rakhtay they. un ke liye –apne ghar se khana mangwate .
agar aap sallallahu alaihi wasallam ke ghar mein kuch nah hota to maheman ko kisi sahabi razi Allah anho ke sath is ke ghar bhaij dete .
Aik dafaa aisa hi howa aap sallallahu alaihi wasallam ke paas aik maheman aaya. aap sallallahu alaihi wasallam ny is ke liye apne ghar se khana mangwaya. pata chala ghar mein kuch nahi hai. aap sallallahu alaihi wasallam ny sahaba razi Allah anho se kaha : aaj hamaray maheman ko kon apne ghar le jaye ga. is zamane mein sab hi musalman ghareeb they.apne khanay ko bhi kam hota tha magar aik dosray ka khayaal rakhtay they. 
Hamaray pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ki baat sun kar aik sahabi razi Allah anho jhat se bolay : ae Allah ke rasool! aap sallallahu alaihi wasallam ke maheman ko mein apne ghar le jaoon ga. pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ney maheman ko un ke sath kardiya. woh maheman ko lyie ghar puhanche aur andar ja kar Biwi se kaha : aaj mein bohat khush hon. Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam  ko apne ghar laya hon.
Un ki biwi bhi khush to huien magar kehnay lagen : lekin ghar mein khana to bas itna hai ke bachay khalin. maheman ko kya khilain ge. woh kehnay lagey : aisa karo bachon ko aaj behla kar baton mein laga kar sula do. khana jo kuch bhi hai woh hum pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ke maheman ko khilain ge. pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ka maheman hamaray ghar roz roz thori hi aata hai.
Phir unhon ney maheman ko ghar mein bulalya. biwi ney bachon ko bahla kar suladya aur khana maheman ke samnay laa kar rakh diya. unhon ney apni biwi se kaan mein kaha : khana thora hai agar hum log bhi khayen ge to maheman bhooka reh jaye ga. agar hum log nahi khayen ge to woh bhi khanay se inkaar kardey ga. kahe ga tum bhi khao. biwi ney kaha : phir kya karen. woh bolay. 
Aisa karna jab hum log khana khanay bathain to chairag theek karne ke bahanay usay bhuja dena. phir hum jhoot moot mun chillate rahen ge. maheman samjhay ga hum bhi is ke sath kha rahay hain. woh pait bhar kar khana khale ga .

Un ki biwi ney aisa hi kya. maheman ney pait bhar kar khana khalya aur yeh dono miyan biwi aur un ke bachay bhukay hi sogye . subah jab nabi sallallahu alaihi wasallam se miley to aap  sallallahu alaihi wasallam ney farmaya : Allah tumahray raat ke kaam se bohat khush hue .
Mein lajpalan day lar lagiyan lyrics|sufiana kalam|Lakhwinder Wadali
Mein lajpalan Day Lar Lagiyan Lyrics

Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Meri aasan umidan day
Sada butay haray rehnday
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Kade ve loor nahi banndhi
Menu dar dar tu mangne di
Kadhi wii lor nahin paindi
Menu dar dar tu mangne di
Mein lajpala di mangda haan
Mein lajpala di mangda haan
Mere paale bhary rahndy
Mere paale bhary rahndy
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Dua mangiya karo sangiyo
Kithay murshid na rus jaway
Jinhaan day peer rus janday
Oh junday wii marray rehnday.
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Naiyazi menu ghum khada?
Mera han peer aye lasni
Naiyazi menu ghum khada?
Mera han peer aye lasni
Jary mursad day ho janday
Jary mursad day ho janday
Woh so Rab di kharay renday
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday
Mein lajpalan day lar lagiyan
Meray to gham paray rehnday

Hajar aswad ko jaraseem se pak aur muattar kis terhan kya jata hai ?

Bait Allah ( khanah kaaba ) ke junoob mashriqi koonay mein hajar aswad  nasab hai. Saudi security forces ke 24 ahalkar shfton mein hajar aswad  ka pehra dainay par mamoor hotay hain. yeh ahalkar logon ke hajhoom ko munazzam bhi karta hai taa ke woh aasani se is fazeelat walay pathar ko bosa day saken .

Hajar aswad  7 chhootay patharon par mushtamil hai. un patharon ka kam se kam hajam 1 centi meter aur ziyada se ziyada 2 centi meter hai. un tamam tukron ko khalis chandi ke aik barray frame ke andar khusoosi mawaad ke zariye joor kar nasb kya gaya hai taa ke is ki hifazat ho sakay. taham hajar aswad  ko logon ke dabao aur garmi ke ilawa baaz Hajjaj aur matmrin ki ghalat harkaat ka bhi saamna hota hai. lehaza intahi fazeelat ke haamil is pathar ko rozana ki bunyadon par bharpoor dekh bhaal aur murammat ki bhi zaroorat padtee hai .

Hajar aswad  ki dekh bhaal ki Saadat kayi dahaiyo se Sheikh Mahmood badar ke khandan ko haasil hai. Sheikh ke baad un ke biton aur poton ke hathon yeh zimmay daari injaam dainay ka silsila jari raha. aaj hajar aswad  ki dekh bhaal, safai aur qalee ka kaam Sheikh Faisal ban Sheikh Mohammad ban Mahmood badar ke hathon mein hai. jahan taq hijr Aswed aur khanah kaaba ki tatheer aur inhen muattar karne ka talluq hai to yeh zimmay daari harmen sharifan ke umoor ki General Presidency  ke paas hai. har farz namaz se qabal khusbhoo laganay ka amal injaam diya jata hai jis mein mehngay aur qeemti tareen atriaat astamal hoty hai.

Post a Comment

0 Comments