Recents in Beach

Tu Kuja Man Kuja Lyrics| Shiraz Uppal & Rafaqat Ali Khan|Naat,kalam

Tu Kuja Man Kuja Lyrics Naat

Hazrat Adam a.s, Taboot Sakina Kya Hai ?


Yeh shamshad (ek lamba khubsurat darkhat)

Ki lakri ka sanduq tha jo hazrat adam allaysallam par nazil huwa tha. Yeh apki akhri zindagi tak aapke pass hi raha. Phir bataur E mairas ke yake bad digar E aapki aaulad ko milta raha. Yaha tak yeh hazrat yaqub alllaysallam ko mila aapke bad aapki aaulad bani israil ke qabze me raha aur hazrat musa allaysallam ko mil gaya to aap usme taurait sharif aur apna khaas khaas samaan rakhne lage.

Yeh bara hi muqdas aur ba barkat sanduq tha. Bani israil jab kufaar se jihaad karte they aur bani israil jab kufaar ke lashkaro ki kashrat aur unki shaukat dekh kar saham jate aur unke sino me dil dhadkane lagte to wo is sanduq ko apne aage rakh lete they to us sanduq se esi rehmato aur barkato ka zahoor hota ke mujahideen ke dilo me sukun wa itminaan ka samaan paida ho jata tha aur mujahideen ke sino me larzate hue dil pathhar ki chatano se zyada mazbut ho jate they aur jis qadr sanduq aage badta tha asmaan se نَصْرٌ مِّنَ اللہِ وَفَتْحٌ قَرِیْبٌ ki basharat E uzma nazil huwa karti aur fatah mubin hasil ho jaya karti thi aur jab bani israil me koi ikhtlaaf paida hota tha to log usi sanduq se faisala karate they aur us sanduq se faisla ki awaz aur fatah ki basharat suni jati thi. 

Bani israil us sanduq ko apne aage rakh kar aur usko wasila bana kar duayein mangtte they to unki dua e maqbul hoti thi aur balao musibatein aur afatein tal jaya karti thi. Al garaz yeh sanduq bani israil ke liye taboot sakina aur barkat wa rehmat ka khazana tha aur nusrat khudawandi ke nuzul ka nihayat muqdas aur behtrin zariyah tha.

Magar jab bani israil tarah tarah ke gunaho me malus ho gaye. Yeh aur logo me muaasi wa tagyaan aur sarkashi wa asiyaan ka daur daura ho gaya to unki bad amaliyon ki nahusat se unpar khuda ka yeh gazab nazil ho gaya ke qaum amalqa ke kufaar ne ek lashkar jaraar ke saat un logo par hamla kar dia aur un kafiro ne bani israil ka qatal kaam kar ke unki basiton wa taraaj kar dala.

Imarato ko tordh phord kar saare shehar mko tahas nahas kar dala us mutbarak sanduq ko bhi uthha kar le gaye aur muqdas tabruk ko najasato ke kude khana me phenk dia lekin us be adabi ka qaum e amalaqa par yeh wabaal pada ke log tarah tarah ki bimariyon aur balao ke hujoom me jinjod diye gaye. Chunache qaum amalqa ke 5 shehar bilkul barbad aur wiraan ho gaye yaha tak ke un kafiro ko yaqin ho gaya ke yeh sanduq ki beadbi ka ajaab hum par pad gaya hai to un kafiro ki aankhein khul gayi.
Tu Kuja Man Kuja Lyrics


Tu Kuja Man Kuja Lyrics

Ya nabi
Ya nabi
Sallu ‘alai-hi wa-aalihi
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Tu ameer-i haram main faqeer-i ‘ajam
Tu ameer-i haram main faqeer-i ‘ajam
Tere gun aur yih lab main talab hi talab
Tere gun aur yih lab main talab hi talab
Tu ‘ata hi ‘ata main khata hi khata

Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Ilhaam jaamah hai tera
Qur‘aan ‘imaamah hai tera
Mimbar tera ‘arsh-i bareen
Ya rahmat ul-lil-‘aalameen

Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Tu haqeeqat hai main sirf ahsaas hoon
Tu haqeeqat hai main sirf ahsaas hoon
Tu samandar main bhaṭki hui pyaas hoon
Tu samandar main bhaṭki hui pyaas hoon
Mera ghar khaak par aur teri rah-guzar
Mera ghar khaak par aur teri rah-guzar
Sidrat ul-muntaha

Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Ay farishto wuh sultaan-i mai‘raaj hain
Ay farishto wuh sultaan-i mai‘raaj hain
Tum jo dekho ge hairaan ho jaao ge
Tum jo dekho ge hairaan ho jaao ge
Zulf tafseer-i wa-llail ban jaaye gi
Zulf tafseer-i wa-llail ban jaaye gi

Chahrah qur'aan saara nazar aaye ga
Chahrah nazar aaye ga
Chahrah nazar aaye ga
Chahrah nazar aaye ga
Chahrah nazar aaye ga
Mere aaqa imaam-i saff-i ambiya
Mere aaqa imaam-i saff-i ambiya
Naam pih un ke laazim hai salle ‘ala
Naam pih un ke laazim hai salle ‘ala

Laazim hai salle ‘ala
Laazim hai salle ‘ala
Laazim hai salle ‘ala
Laazim hai salle ‘ala
Tu kuja man kuja
Mustafa mujtaba
Khaatim ul-mursaleen
Ya rahmat ul-lil-‘aalameen
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Khair ul-bashar rutbah tera
Khair ul-bashar rutbah tera
Aawaaz-i haqq khutbah tera
Aawaaz-i haqq khutbah tera
Aafaaq tere saame‘een
Aafaaq tere saame‘een
Saais jibreel-i ameen
Ya rahmat ul-lil-‘aalameen

Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Tu hai ahraam-i anwaar baandhe hue
Tu hai ahraam-i anwaar baandhe hue
Main duroodon ki dastaar baandhe hue
Main duroodon ki dastaar baandhe hue
Kaa‘ba-i ‘ishq tu main tere chaar su
Kaa‘ba-i ‘ishq tu main tere chaar su
Tu asar main du‘a

Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja
Tu kuja man kuja

Tu kuja man kuja

Hazrat Adam a.s, Taboot Sakina Kya Hai ?

 Chunache Un Logo Ne Us Muqdas Sanduq Ko Ek Bailgadi Par Laad Kar Bailo Ko Bani Israil Ki Bastiyon Ki Taraf Haank Dia. Phir Allah Ta'la Ne Char Farishto Ko Muqrar Farma Dia Jo Us Mubaarak Sanduq Ko Bani Israil Ke Nabi Hazrat Shamul Allaysallam Ki Khidmat Me Laaye. Is Tarah Phir Bani Israil Ki Khoyi Hui Naimat Dubaara Unko Mil Gayi Aur Yeh Sanduq Thik Us Waqt Hazrat Shamul Allaysallam Ke Pass Pohcha. Jab Ke Hazrat Shamul Allaysallam Ne Taalut Ko Badhshah Bana Dia Tha Aur Bani Israil Taalut Ki Badhshahi Taslim Karne Par Tayaar Nahi Thi Aur Yahi Shart Thhehari Ke Muqdas Sanduq Aa Jaye To Hum Taalut Ki Badhshahi Taslim Kar Lege. Chunache Sanduq Aa Gaya Aur Bani Israil Taalut Ki Badhshahi Par Razamnad Ho Gaye.

Post a Comment

0 Comments